Mera naam Rachana Vijay hai. Main Jaipur se hun. Profession se interior designer cum vastu consultant and writer bhi hun. Ab tak dusro k liy likhti aai… aaj khud ke liye likhne ka dil kiya…
Meri kahani meri zubani …
100 days running challenge.. 100 din 100 task 1000 excuse but moral of the story is that I am a winner…
100 days challenge meri life ka sabse bada turning point raha hai. running m ain pahle bhi karti thi.. but challenge ke sath nahi just run.. run for fun..
Life me bahut sare excuse bhar rakhe the.. aaj leg m dard h kal jaugi.. aaj y ho gya aaj wo gya.. n all that.. sirf events k pahle 5 din khud ko running k ready karti thi.. mera weight near 96kg.. lots of bimariya….
Din ki shuruaat medicine k sath aur din ka end medicine k sath.. pure din m 30 35 types of medicine khati thi.. khana kam dawai jyada.. ajib sa tag tha… 38 years ki age m sab log mujhe aise baat karte the jaise m 70 saal ki bimar jindagi hu.. bato main sirf doctor, hospital, dawaiya ye sab hota tha.. isi beech aaj se 2 saal pahle di ki death ka shock ke karan mujhe paralysis attack aa gya.. Mera left side bilkul khatam ho gya.. kabhi socha hi nahi tha ki kabhi dubara m proper khadi bhi ho paugi kya.. but